How To Create Responsive UI Card HTML CSS

As Developer - Verify Premium Template.

Hello Friends !
Aaj Apke liye Responsive UI Card ka HTML CSS Code lekar aaye hai. Is code ko aap apne blog me kahi bhi use kar sakte hai. 


Isse pahle ek grid style catagory ka code bhi aap ko de chuke hai. Jo ki youtube ke tech vodh channel pr available hai. Aap us video ko dekh kar apne blog me grid style me catagory add kar sakte hai.  

How to create Responsive UI Card  


Aapko Post ke end me code milega us code ko apne laptop or pc me save kr le. Responsive UI Card ka code three part me divide hai. Jisme CSS JAVASCRIPT HTML samil hai.  


1. Responsive UI Card ke code ko aap video dekh kar bhi apne blogger me add kar sakte ho.  

2. Responsive UI Card ko manually add karne ke sabse pahle apko blogger ke dashboard me login karna hoga. Uske baad theme section me jakar Edit HTML Par click kare. Ab apke samne apka temple ki puri script hogi.  



Script par click karke ctr+F se search box open karen. Uske baad vahan search kare b:skin jo CSS ka code hoga use yahan par add kar de. Ab template save karde.  


Uske baad fir se search box open kare. Ab usme search kare </body> tag. Ab is tag ke upar Responsive UI Card ki java script ko copy karke paste kar den. Ab finally template ko save karke exit ho jaye.  


Ab dubara se blogger ke dashboard me jakar vahan layout section me jaye. Ab aap apne blog me jis jagah par Responsive UI Card add karna chahte hai us jagah pr html/JavaScript ka new gadget le.  

Ab diye gaye code se Responsive UI Card ka HTML code copy kare. Ab ise new gadget me paste karke save kar de. Ab apke blog par Responsive UI Card add ho gaye.   



How To Create Responsive UI Card HTML CSS | iong.in



How to change image in Responsive UI Card  


Responsive UI Card me image change karne ke liye apko PNG and JPEG format ki jarurat hogi. Ise aap kisi bhi photo editor me edit karke use blogger ya fir google photo pr upload kar le. Bahan se image ka URL (image address) copy karke HTML me link section me paste kar de.  


How to create button Responsive UI Card


Button create karne ke video me apko code bataya gaya hai. Aap youtube ke tech vodh channel par jakar video dekh sakte uske according aap Responsive UI Card me button add kar sakte hai.   

How to create full click Responsive UI Card  


Yadi aap Responsive UI Card ko hi clickbal banana chahte hai to uske liye apko extra coding ki jarurat padegi. Jo ki tech vodh channel par dale gaye video me bataya gaya hai. Vahan se aap ise asani se sikh kar apne Responsive UI Card ko click bana sakte hai.  



Download File




Post a Comment

Previous Post Next Post