As Developer - Verify Premium Template.
How to create image slider in blogger
Hello Friends,
Apke blog ke liye mene ek tutorial banaya hai jiske dwara aap asani se apne blogger ki header, bottom, and post me image slider add kar sakte ho. Ye bahut hi asan hai aap ise asani se apne blog me add kar sakte ho.
Ise apne blogger me add karne ke liye apko avashyakta hai kewal ek blogger blog ki. Jisme aap ise add karna chahte ho. Ab apko blogger par ek blog create karna hai. Ab aap jahan bhi ise lagana chaho vahan iski Codding add kar sakte ho.
How to add css of image slider
Image slider ko blog me add karne ke liye apko is post ke end me ek code milega use aap apne pc or laptop me save karle. Ab is post me bataye anusar aap ise apne blog me add kar dijiye.
Sabse pahle aap apne blogger ke layout section me jakar Edit HTML Par click karen. Uske baad Pc or laptop me save kiye gaye image slider code ko open karke vahan se CSS copy karen. Uske baad aap apne blog ke temple me b:skin search karen. Aur b:skin ke upar diye gaye code ke CSS ko paste karke temple save kar de.
How to add image slider in blogger
Ab aap HTML code ko blogger ke layout me header or bottom me laga sakte hai. Aap chahe to ise blog ki post me bhi is image slider ko ko add kar sakte hai. Post me image slider ko laga kar aap post ko stylish bana sakte hai.
Ye image slider apke blog me proper work karega. Is image slider ke code me kisi bhi prakar ka koi bhi error nahi hai. Ise aap asani se apne blogger ke blog me laga sakte hai.
Is image slider ki coding bahut hi simple hai. Jisse apke blog ki speed par koi bhi fark nahi padega. Jyadatar external coding jab ham blog me add karte hai to uska effect blog ki speed par padta hai. Jiska effect apke blog ki rating par padta hai.
Yadi apke blog ke open hone ki speed jyada hai. Aur use open hone me bahut jyada bakt lagata hai. To iska matlab apke blogger ki Codding me koi havy Codding hai. Jise apko remove karna hota hai.
Lekin yadi aap mere dwara diye gaye image slider ke code ko use karte hai to apki blog ki speed par koi bhi effect nahi padega. Aap is coding ko apne blog me use kar sakte hai.
Tags:
blogger